Bewafa Shayari in Hindi

BEWAFA SHAYARI IN HINDI AND HINGLISH



Bewafa Shayari is the most searched term on google by Sad individuals. Mostly people prefer reading sad Shayari, sad poetry or sad stories when they are sad. Does it give relief? No, people want to overcome from the sadness that’s why the read other’s poetries and stories to inspire them.

Here is a collection of Bewafa Shayari In Hindi With Roman English i.e Hinglish.

Khuda Ne Poocha Kya Saza Doon Uss Bewafa Ko,
Dil Ne Kaha Ek Baar Fir Mohabbat Ho Jaye Usse.
खुदा में पूछा क्या सज़ा दूँ उस बेवफ़ा को,
दिल ने कहा मोहब्बत हो जाए उसे भी।

Mil He Jayega Koi Na Koi Toot Ke Chahne Wala,
Ab Shehar Ka Shehar Toh Bewafa Ho Nahi Sakta.
मिल ही जाएगा कोई ना कोई टूट के चाहने वाला,
अब शहर का शहर तो बेवफा हो नहीं सकता।

Meri Wafa Fareb Hai Meri Wafa Pe Haak Daal,
Tujhsa He Koi Bawafa Tujhko Mile Khuda Kare.
मेरी वफा फरेब थी मेरी वफा पे खाक डाल ।
तुझसा ही कोई बावफा तुझको मिले खुदा करे।

Ho Sake Toh Mudh Kar Dekh Lena Jaate Jaate,
Tere Aane Ke Bharam Me Zindgi Guzaar Lenge.
हो सके तो मुड़ कर देख लेना जाते जाते,
तेरे आने के भरम में ज़िन्दगी गुज़ार लेंगे।
Koi Yaad Nahi Rakhta Wafa Karne Waloon Ko,
Meri Maano Bewafa Ho Jao Zamana Yaad Rakhega.
कोई नहीं याद रखता वफ़ा करने वालों को,
मेरी मानो बेवफा हो लो जमाना याद रखेगा।

Samet Kar Le Jao Apne Jhoothe Vaadoon Ke Adhure Kisse,
Agli Mohabbat Mein Tumhein Phir Inki Zarurat Padegi.
समेट कर ले जाओ अपने झूठे वादों के अधूरे क़िस्से
अगली मोहब्बत में तुम्हें फिर इनकी ज़रूरत पड़ेगी।

Roye Kuchh Iss Tarah Se Mere Jism Se Lagke Wo,
Aisa Laga Ke Jaise Kabhi BeWafa Na The Wo,
रोये कुछ इस तरह से मेरे जिस्म से लग के वो,
ऐसा लगा कि जैसे कभी बेवफा न थे वो।

Iss Daur Mein Ki Thi Jis Se Wafaa Ki Ummeed,
Aakhir Ko Usi Ke Haath Ka Patthar Laga Mujhe.
इस दौर में की थी जिस से वफ़ा की उम्मीद,
आखिर को उसी के हाथ का पत्थर लगा मुझे।

Rehne De Yeh Kitaab Tere Kaam Ki Nahi,
Iss Mein Likhe Hue Hain Wafaaon Ke Tazkare.
रहने दे ये किताब तेरे काम की नहीं,
इस में लिखे हुए हैं वफाओं के तज़करे।
Kaise Yakeen Karein Hum Teri Mohabbat Ka,
Jab Bikti Hai Bewafai Tere He Naam Se.
कैसे यकीन करें हम तेरी मोहब्बत का,
जब बिकती है बेवफाई तेरे ही नाम से

Jaa Tujh Ko Tere Haal Pe Chhoda,
Iss Se Behter Teri Saza Bhi Kya Hai.
जा तुझ को तेरे हाल पे छोड़ा,
इस से बेहतर तेरी सजा भी क्या है।

Bewaqt Bewajah Besabab Si Berukhi Teri,
Phir Bhi Beinteha Chahne Ki Bebasi Meri.
बेवक्त बेवजह बेसबब सी बेरुखी तेरी,
फिर भी बेइंतहा तुझे चाहने की बेबसी मेरी।

Apni He Mohabbat Se Mukarna Pada Mujhe,
Jab Dekh Use Rota Kisi Aur Ke Liye.
अपनी ही मोहब्बत से मुकरना पड़ा मुझे,
जब देखा उसे रोता किसी और के लिए।

Bikhri Kitaabein Bheege Palak Aur Yeh Tanhai,
Kahun Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi.
बिखरी किताबें भीगे पलक और ये तन्हाई,
कहूँ कैसे कि मिला मोहब्बत में कुछ भी नहीं।
Agar Tum Samjh Paate Meri Chaahat Ki Intehan,
Toh Hum Tumse Nahi, Tum Humse Mohabbat Karte.
अगर तुम समझ पाते मेरी चाहत की इन्तेहा,
तो हम तुमसे नहीं, तुम हमसे मोहब्बत करते।

Bhool Ja Ab Tu Mujhe Aasaan Hai Tere Liye,
Bhulna Tujhko Nahi Aasaan Magar Mere Liye.
भूल जा अब तू मुझे आसान है तेरे लिए,
भूलना तुझको नहीं आसां मगर मेरे लिए।
Gila Bhi Tujh Se Bahut Hai Magar Mohabbat Bhi,
Woh Baat Apni Jagah Hai Yeh Baat Apni Jagah.
गिला भी तुझ से बहुत है मगर मोहब्बत भी,
वो बात अपनी जगह है ये बात अपनी जगह।

Yeh Toh Na Keh K Kismat Ki Baat Hai,
Meri Barbadiyon Mein Tera Bhi Hath Hai.
ये तो न कह कि किस्मत की बात है,
मेरी बरबादियों में तेरा भी हाथ है।

Bas Yehi Baat Ke Kisi Ko Na Chaho Dil Se,
Tajurbe Iss Ke Siwa Umar Ko Kya Dete Hai.
बस यही बात कि किसी को ना चाहों दिल से,
तज़ुर्बे इस के सिवा उम्र को क्या देते हैं।

Qabron Mein Nahi Humko Kitaabon Mein Utaro,
Hum Log Mohabbat Ki Kahani Mein Mare Hain.
क़ब्रों में नहीं हम को किताबों में उतारो,
हम लोग मोहब्बत की कहानी में मरे हैं।

Woh Andhera Hi Sahi Tha Ke Kadam Rah Par The,
Roshni Le Aayi Mujhe Manzil Se Bahut Dur.
वो अँधेरा ही सही था कि कदम राह पर थे,
रोशनी ले आई मुझे मंजिल से बहुत दूर।

Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha,
Hum Ne Toh Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar Diya.
मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था,
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया।
This is the collection of Bewafa Shayari For WhatsApp and other Social media networks. Please Share these Shayaris With Your Friends. THANKYOU SO MUCH. 


Post a Comment

0 Comments